Song: Dil dhoondhta hai phir wahi (Mausam) (1975) Singers - Bhupinder Singh, Lata, Lyrics - Gulzar, Music Director - Madan Mohan
Song Lyrics
Dil dhoondhtaa, hai phir wahi fursat Ke raat din
dil dhoondhtaa, hai phir wahi fursat Ke raat din
baithhe rahen tasawwur-e-Jaanaa kiye huye
dil dhoondhtaa, hai phir wahi fursat ke raat din
dil dhoondhtaa, hai phir wahie
Jaadon Ki narm dhoop aur aangan mein let kar

aankhon pe kheench kar tere daaman ke saaye Ko

aundhe pade rahen kabhi karwat liye huye
dil dhoondhtaa hai,
O dil dhoondhtaa, hai phir wahi fursat ke raat din
dil dhoondhtaa, hai phir wohi
yaa garmiyon ki raat jo purwaayiaan chale

thhandi safed chaadaron pe jaagen der tak

taaron ko dekhte rahen chhat par pade huye
dil dhoondhtaa hai,
O dil dhoondhtaa, hai phir wahi fursat ke raat din
dil dhoondhtaa, hai phir wohi
barfeeli sardiyon mein kisi bhi pahaad par

waadi mein goonjti huyi, khaamoshiyaan sunen

aankhon mein bheege bheege se lamhe liye huye
dil dhoondhtaa hai,
O dil dhoondhtaa, hai phir wahi fursat ke raat din
dil dhoondhtaa, hai phir wahi fursat ke raat din
baithhe rahen tasawwur-e-jaanaa kiye huye
dil dhoondhtaa, hai phir wahi fursat ke raat din
dil dhoondhtaa, hai phir wahi